Mein hun ek parinda bin pankh ka
Aaj main boodha hun kabhi mein bhi rehta ek ghar mein
Harebhare darkht ke kotar mein
Tinkoon ke naram bichone per sota tha
Kabhi Mandir ki munder per baith jata
Aarti ka diya roshan karta man ko
Kabhi masjid ki ajaan kaano mein ras gholti
Swachhand udta firta vishal Gagan mein
Kabhi puja ka prasad chakhta, kabhi langar ki roti khata
Kabhi biryani ka lutf uthata
Dhire dhire main boodha hone laga
Ang shithil hone lage
Ek din pragati ki aandhi ayi kata darkht aur toota mera gharonda
Ub mein awara jese bhatakta rehta hun
Phir kisi ne pakda aur pankh kutar dale
Yun hi lutf uthane ko
Chhod diya muje sadak par mar jane ko
Ab mein her pal saanse ginta rehta hun
Mein hun ek parinda bin pankh ka